rashk-e-firdaus hai us ghuncha-dahan ki KHushbu
rashk-e-firdaus hai us ġhuncha-dahan kī ḳhushbū
merī har saañs meñ hai us ke badan kī ḳhushbū
haal kahte hue us kā mire lab jalte haiñ
hai ḳhayāloñ meñ mire sho.ala-badan kī ḳhushbū
vo parī-vash nazar aa jaa.e to aatī hai mujhe
shoḳhī-e-dāġh kī hasrat ke suḳhan kī ḳhushbū
mere ash.ār se raushan hai classic kā charāġh
hai taġhazzul meñ mire miir ke fan kī ḳhushbū
tajraba hai ye ġharīb-ul-vatanī kā yaaro
bārhā TuuT ke aatī hai vatan kī ḳhushbū
dushman-e-fasl-e-bahārāñ hai vo taḳhrībī hai
jis meñ aatī na ho ta.amīr-e-vatan kī ḳhushbū
'ġhālib'-o-'mīr' 'valī' 'hasrat'-o-'momin' kī tarah
sab ke sheroñ meñ hai us husn-e-kuhan kī ḳhushbū
haiñ tere phuul se alfāz kī ġhazleñ 'āsī'
bazm meñ duur se aatī hai suḳhan kī ḳhushbū
rashk-e-firdaus hai us ghuncha-dahan ki KHushbu
meri har sans mein hai us ke badan ki KHushbu
haal kahte hue us ka mere lab jalte hain
hai KHayalon mein mere shoala-badan ki KHushbu
wo pari-wash nazar aa jae to aati hai mujhe
shoKHi-e-dagh ki hasrat ke suKHan ki KHushbu
mere ashaar se raushan hai classic ka charagh
hai taghazzul mein mere mir ke fan ki KHushbu
tajraba hai ye gharib-ul-watani ka yaro
barha TuT ke aati hai watan ki KHushbu
dushman-e-fasl-e-bahaaran hai wo taKHribi hai
jis mein aati na ho tamir-e-watan ki KHushbu
'ghaalib'-o-'mir' 'wali' 'hasrat'-o-'momin' ki tarah
sab ke sheron mein hai us husn-e-kuhan ki KHushbu
hain tere phul se alfaz ki ghazlen 'asi'
bazm mein dur se aati hai suKHan ki KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.