rashk karte hain shanasa bhi muqabil ki tarah
rashk karte haiñ shanāsā bhī muqābil kī tarah
kaash koī mire pahlū meñ rahe dil kī tarah
shāyad ik roz mujhe ḳhud se ḳhudā mil jaa.e
īstāda huuñ dar-e-zāt pe saa.il kī tarah
mushk-e-āhū se mahakne lagā dil kā jañgal
yaad ke dasht meñ utrā jo tū mahmil kī tarah
aise bezār mohabbat ke sitam kyā kahnā
pesh aa.e jo mire shauq se mushkil kī tarah
chashm-e-ibrat koī rakhtā to dikhāte us ko
shahr-e-jāñ meñ ka.ī āsār haiñ bābul kī tarah
jabki manzil ne tumheñ DhūñD liyā hai 'jauhar'
kyoñ bhaTakte ho ab āvāra-e-manzil kī tarah
rashk karte hain shanasa bhi muqabil ki tarah
kash koi mere pahlu mein rahe dil ki tarah
shayad ek roz mujhe KHud se KHuda mil jae
istada hun dar-e-zat pe sail ki tarah
mushk-e-ahu se mahakne laga dil ka jangal
yaad ke dasht mein utra jo tu mahmil ki tarah
aise bezar mohabbat ke sitam kya kahna
pesh aae jo mere shauq se mushkil ki tarah
chashm-e-ibrat koi rakhta to dikhate us ko
shahr-e-jaan mein kai aasar hain babul ki tarah
jabki manzil ne tumhein DhunD liya hai 'jauhar'
kyon bhaTakte ho ab aawara-e-manzil ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.