rasīle ḳhvāb saare kho chukī huuñ
bahut rūkhī haqīqat ho chukī huuñ
jagā.e koī sūraj sub.h-e-nau kā
purānī raat sadiyoñ so chukī huuñ
ġhamoñ ko hañs ke sahnā aa gayā hai
maiñ apnī har ḳhushī ko ro chukī huuñ
maiñ apne dil kī banjar sar-zamīñ meñ
ḳhushī ke biij kitne bo chukī huuñ
bahut mailī thī chādar zindagī kī
use ashkoñ se apne dho chukī huuñ
chalā hai saath tanhā.ī kā jañgal
tire hamrāh jab se ho chukī huuñ
amānat ye bhī lauTā.ī hai us ko
badan kā bojh barsoñ Dho chukī huuñ
rahā kahne ko ab kyā aur 'pinhāñ'
ġhazal se haal sab to kah chukī huuñ
rasile KHwab sare kho chuki hun
bahut rukhi haqiqat ho chuki hun
jagae koi suraj subh-e-nau ka
purani raat sadiyon so chuki hun
ghamon ko hans ke sahna aa gaya hai
main apni har KHushi ko ro chuki hun
main apne dil ki banjar sar-zamin mein
KHushi ke bij kitne bo chuki hun
bahut maili thi chadar zindagi ki
use ashkon se apne dho chuki hun
chala hai sath tanhai ka jangal
tere hamrah jab se ho chuki hun
amanat ye bhi lauTai hai us ko
badan ka bojh barson Dho chuki hun
raha kahne ko ab kya aur 'pinhan'
ghazal se haal sab to kah chuki hun
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 68)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.