rasm-e-duniya mujhko bhi aaKHir nibhana aa gaya
rasm-e-duniyā mujh ko bhī āḳhir nibhānā aa gayā
apne mahsūsāt ko dil meñ dabānā aa gayā
be-zabānī ne mirī barsoñ rulāyā ḳhuuñ mujhe
lab-kushā huuñ jab se Thokar meñ zamāna aa gayā
bin tumhāre zindagī thī jaise ik koh-e-girāñ
tum mile hamdam to jiine kā bahāna aa gayā
haañ faqat ranj-o-alam se āshnā.ī thī mirī
tum jo aa.e in laboñ ko muskurānā aa gayā
ek din merī tarah taḌpoge tum bhī dekhnā
gar kahīñ dil ko mire tum ko bhulānā aa gayā
chār-sū rotī bilaktī aur taḌaptī zindagī
maiñ bhalā kaise kahūñ mausam suhāna aa gayā
ik na ik din maiñ bhī 'shāmā' muskurā.ūñgī zarūr
naqsh-e-māzī gar mujhe dil se bhulānā aa gayā
rasm-e-duniya mujh ko bhi aaKHir nibhana aa gaya
apne mahsusat ko dil mein dabana aa gaya
be-zabani ne meri barson rulaya KHun mujhe
lab-kusha hun jab se Thokar mein zamana aa gaya
bin tumhaare zindagi thi jaise ek koh-e-giran
tum mile hamdam to jine ka bahana aa gaya
han faqat ranj-o-alam se aashnai thi meri
tum jo aae in labon ko muskurana aa gaya
ek din meri tarah taDpoge tum bhi dekhna
gar kahin dil ko mere tum ko bhulana aa gaya
chaar-su roti bilakti aur taDapti zindagi
main bhala kaise kahun mausam suhana aa gaya
ek na ek din main bhi 'shama' muskuraungi zarur
naqsh-e-mazi gar mujhe dil se bhulana aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.