rasm-e-mai-KHana nibhate hain chale jate hain
rasm-e-mai-KHana nibhate hain chale jate hain
Abdus Sami Siddiqui Naeem
MORE BYAbdus Sami Siddiqui Naeem
rasm-e-mai-ḳhāna nibhāte haiñ chale jaate haiñ
apne hisse kī uThāte haiñ chale jaate haiñ
jaane kyā soch ke aate haiñ chale jaate haiñ
hausla merā baḌhāte haiñ chale jaate haiñ
rābta hai na ta'alluq hai koī pahlā sā
raftagāñ ḳhvāb meñ aate haiñ chale jaate haiñ
vo jo lafzoñ ke ulaT-pher ko fan kahtā hai
us ko mīzān thamāte haiñ chale jaate haiñ
māntā huuñ ki haiñ haa.il ka.ī parbat lekin
ham ye dīvār girāte haiñ chale jaate haiñ
ḳhauf ke saa.e meñ kyoñ ḳhatm ho sochoñ kā safar
aao hañste haiñ hañsāte haiñ chale jaate haiñ
jis ko aanā hai vo aa.egā hameñ fikr nahīñ
ham to āvāz lagāte haiñ chale jaate haiñ
ġham bhī apnā hai 'na'īm' aaj tazabzub kā shikār
ashk palkoñ talak aate haiñ chale jaate haiñ
rasm-e-mai-KHana nibhate hain chale jate hain
apne hisse ki uThate hain chale jate hain
jaane kya soch ke aate hain chale jate hain
hausla mera baDhate hain chale jate hain
rabta hai na ta'alluq hai koi pahla sa
raftagan KHwab mein aate hain chale jate hain
wo jo lafzon ke ulaT-pher ko fan kahta hai
us ko mizan thamate hain chale jate hain
manta hun ki hain hail kai parbat lekin
hum ye diwar giraate hain chale jate hain
KHauf ke sae mein kyon KHatm ho sochon ka safar
aao hanste hain hansate hain chale jate hain
jis ko aana hai wo aaega hamein fikr nahin
hum to aawaz lagate hain chale jate hain
gham bhi apna hai 'na'im' aaj tazabzub ka shikar
ashk palkon talak aate hain chale jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.