rasm-e-mai-KHana nibhate hain chale jate hain
rasm-e-mai-ḳhāna nibhāte haiñ chale jaate haiñ
hosh ham apne gañvāte haiñ chale jaate haiñ
sūrat-e-dil haiñ musāfir kisī vīrāne ke
rāste ham ko bulāte haiñ chale jaate haiñ
bārhā tere ḳhayāloñ ke tasavvur mujh meñ
ek tasvīr banāte haiñ chale jaate haiñ
gard uḌāte hue aksar ka.ī tūfān se ab
dil ke sahrāoñ meñ aate haiñ chale jaate haiñ
aas baaqī hai magar ek hirāsānī bhī
log zanjīr hilāte haiñ chale jaate haiñ
hijr kī raat tirī yaad ke jugnū aa kar
jāgte aur jagāte haiñ chale jaate haiñ
tīrgī se koī āvāz lagātā hai hameñ
ham charāġhoñ ko bujhāte haiñ chale jaate haiñ
rasm-e-mai-KHana nibhate hain chale jate hain
hosh hum apne ganwate hain chale jate hain
surat-e-dil hain musafir kisi virane ke
raste hum ko bulate hain chale jate hain
barha tere KHayalon ke tasawwur mujh mein
ek taswir banate hain chale jate hain
gard uDate hue aksar kai tufan se ab
dil ke sahraon mein aate hain chale jate hain
aas baqi hai magar ek hirasani bhi
log zanjir hilate hain chale jate hain
hijr ki raat teri yaad ke jugnu aa kar
jagte aur jagate hain chale jate hain
tirgi se koi aawaz lagata hai hamein
hum charaghon ko bujhate hain chale jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.