Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rasm-e-ulfat se hai maqsud-e-wafa ho ki na ho

Irfan Ahmad mir

rasm-e-ulfat se hai maqsud-e-wafa ho ki na ho

Irfan Ahmad mir

MORE BYIrfan Ahmad mir

    rasm-e-ulfat se hai maqsūd-e-vafā ho ki na ho

    zaḳhm-e-dil aur ho ḳhūn-basta-e-shifā ho ki na ho

    ham jafākār-e-vafā haiñ hameñ matlūb nahīñ

    hāsil zulf-e-siyāhkār sazā ho ki na ho

    rakh liyā thoḌā imkān-e-tamannā ne bharam

    dast sharminda rahe chāhe atā ho ki na ho

    ho mere qatl meñ qātil bhī marzī shāmil

    shor-o-ġhul ḳhuub rahe āh-o-baqā ho ki na ho

    thī sitam-kārī qismat vo shiddat hamdam

    bhī ranjīda rahā mujh se gilā ho ki na ho

    ik ye bandish rahī anjām-e-vafā ko ko kar

    ahl-e-duniyā pe merī rasm ravā ho ki na ho

    bas ye āshob mohabbat davā hai 'bāliġh'

    marg-e-āsān tamannā ho qazā ho ki na ho

    rasm-e-ulfat se hai maqsud-e-wafa ho ki na ho

    zaKHm-e-dil aur ho KHun-basta-e-shifa ho ki na ho

    hum jafakar-e-wafa hain hamein matlub nahin

    hasil zulf-e-siyahkar saza ho ki na ho

    rakh liya thoDa sa imkan-e-tamanna ne bharam

    dast sharminda rahe chahe ata ho ki na ho

    ho mere qatl mein qatil ki bhi marzi shamil

    shor-o-ghul KHub rahe aah-o-baqa ho ki na ho

    thi sitam-kari qismat ki wo shiddat hamdam

    tu bhi ranjida raha mujh se gila ho ki na ho

    ek ye bandish rahi anjam-e-wafa ko ko kar

    ahl-e-duniya pe meri rasm rawa ho ki na ho

    bas ye aashob mohabbat ki dawa hai 'baaligh'

    marg-e-asan ki tamanna ho qaza ho ki na ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now