rasm-e-wafa ko humne bhi ruswa nahin kiya
rasm-e-vafā ko ham ne bhī rusvā nahīñ kiyā
har ik sitam ko sah liyā shikva nahīñ kiyā
kahte haiñ is jahān meñ bīmār-e-ishq ko
ab tak kisī tabīb ne achchhā nahīñ kiyā
samjhā gayā thā jis ko mahalle meñ pārsā
mauqa milā to us ne bhī kyā kyā nahīñ kiyā
phir yaad aa rahī hai vahī multajī-nigāh
aur ashk jis kā raaz meñ samjhā nahīñ kiyā
vaa.iz ko ek baar maiñ mai-ḳhāna le gayā
phir us ke baad mujh se vo uljhā nahīñ kiyā
ham mustaqil-mizāj haiñ bas ek baat meñ
vo ye ki jo kiyā vo dobāra nahīñ kiyā
bārish kā uzr kar ke bharam rakh bhī saktā thā
afsos us ne koī bahāna nahīñ kiyā
ummīd-e-vasl bhī hai magar kashmakash hai 'shān'
us ne kahā ki ā.uñgā va.ada nahīñ kiyā
rasm-e-wafa ko hum ne bhi ruswa nahin kiya
har ek sitam ko sah liya shikwa nahin kiya
kahte hain is jahan mein bimar-e-ishq ko
ab tak kisi tabib ne achchha nahin kiya
samjha gaya tha jis ko mahalle mein parsa
mauqa mila to us ne bhi kya kya nahin kiya
phir yaad aa rahi hai wahi multaji-nigah
aur ashk jis ka raaz mein samjha nahin kiya
waiz ko ek bar main mai-KHana le gaya
phir us ke baad mujh se wo uljha nahin kiya
hum mustaqil-mizaj hain bas ek baat mein
wo ye ki jo kiya wo dobara nahin kiya
barish ka uzr kar ke bharam rakh bhi sakta tha
afsos us ne koi bahana nahin kiya
ummid-e-wasl bhi hai magar kashmakash hai 'shan'
us ne kaha ki aaunga wada nahin kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.