rasm hi nind ki aankhon se uTha di gai kya
rasm hī niiñd kī āñkhoñ se uThā dī ga.ī kyā
yā mire ḳhvāb kī ta.abīr batā dī ga.ī kyā
āsmāñ aaj sitāroñ se bhī ḳhālī kyuuñ hai
daulat-e-girya-e-jāñ raat luTā dī ga.ī kyā
vo jo dīvār thī ik ishq-o-havas ke mābain
mausam-e-shauq meñ is baar girā dī ga.ī kyā
ab to is khel meñ kuchh aur mazā aane lagā
jaan bhī daav pe is baar lagā dī ga.ī kyā
aaj dīvāne ke lahje kī khanak raushan hai
us kī āvāz meñ āvāz milā dī ga.ī kyā
aaj bīmār ke chehre pe bahut raunaq hai
phir masīhā.ī kī afvāh uḌā dī ga.ī kyā
rasm hi nind ki aankhon se uTha di gai kya
ya mere KHwab ki tabir bata di gai kya
aasman aaj sitaron se bhi KHali kyun hai
daulat-e-girya-e-jaan raat luTa di gai kya
wo jo diwar thi ek ishq-o-hawas ke mabain
mausam-e-shauq mein is bar gira di gai kya
ab to is khel mein kuchh aur maza aane laga
jaan bhi daw pe is bar laga di gai kya
aaj diwane ke lahje ki khanak raushan hai
us ki aawaz mein aawaz mila di gai kya
aaj bimar ke chehre pe bahut raunaq hai
phir masihai ki afwah uDa di gai kya
- Book : Sukhan Aabaad (Pg. 72)
- Author : Manzoor Hashmi
- Publication : Manzoor Hashmi (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.