rasm-o-niyaz-e-naz se ek maqam par gaya
rasm-o-niyaz-e-naz se ek maqam par gaya
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
MORE BYMumtaz Ahmad Khan Khushtar
rasm-o-niyāz-e-nāz se ek maqām par gayā
husn se jo na ho sakā ishq vo kaam kar gayā
dair gayā haram gayā aur kidhar kidhar gayā
maiñ bhī talāsh-e-yār meñ had se pare guzar gayā
saaf hudūd-e-zīst ko dekhiye paar kar gayā
girte hī bahr-e-ġham meñ maiñ maut ke ghaaT utar gayā
shān-e-numūd thī vahī rang-e-vajūd thā vahī
ik vahī thā nazar-navāz maiñ to jidhar jidhar gayā
kaam tamām kar diyā is ġham-e-zindagī ne to
talḳhī-e-bāda se mirā jām-e-hayāt bhar gayā
saath jo mil gayā mujhe ishq-e-junūñ-navāz kā
un kī harīm-e-nāz meñ aaj to be-ḳhatar gayā
naġhma-e-zindagī meñ ab soz kahāñ se lā.ūñ maiñ
tār-e-nafas ko chheḌ kar saaz mirā bikhar gayā
merā hī hausla rahā merī hī justujū rahī
manzil-e-ishq tak mirī kab koī rāhbar gayā
ijz-o-niyāz se milīñ donoñ jahāñ kī rif.ateñ
chhoḌ dī jis ne ḳhud-sarī bām-e-urūj par gayā
'ḳhushtar'-e-ḳhush-bayāñ ko thā nām-o-numūd se gurez
phir bhī suḳhan kī bazm meñ naam vo apnā kar gayā
rasm-o-niyaz-e-naz se ek maqam par gaya
husn se jo na ho saka ishq wo kaam kar gaya
dair gaya haram gaya aur kidhar kidhar gaya
main bhi talash-e-yar mein had se pare guzar gaya
saf hudud-e-zist ko dekhiye par kar gaya
girte hi bahr-e-gham mein main maut ke ghaT utar gaya
shan-e-numud thi wahi rang-e-wajud tha wahi
ek wahi tha nazar-nawaz main to jidhar jidhar gaya
kaam tamam kar diya is gham-e-zindagi ne to
talKHi-e-baada se mera jam-e-hayat bhar gaya
sath jo mil gaya mujhe ishq-e-junun-nawaz ka
un ki harim-e-naz mein aaj to be-KHatar gaya
naghma-e-zindagi mein ab soz kahan se laun main
tar-e-nafas ko chheD kar saz mera bikhar gaya
mera hi hausla raha meri hi justuju rahi
manzil-e-ishq tak meri kab koi rahbar gaya
ijz-o-niyaz se milin donon jahan ki rifaten
chhoD di jis ne KHud-sari baam-e-uruj par gaya
'KHushtar'-e-KHush-bayan ko tha nam-o-numud se gurez
phir bhi suKHan ki bazm mein nam wo apna kar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.