rassi to jal gai magar ainThan nahin gai
rassi to jal gai magar ainThan nahin gai
Chandrashekhar Pandey Shams
MORE BYChandrashekhar Pandey Shams
rassī to jal ga.ī magar aiñThan nahīñ ga.ī
chāhat tumhārī yuuñ dam-e-kushtan nahīñ ga.ī
tum chāhte nahīñ the hameñ phir ye kyoñ huā
ab bhī tumhārī āñkhoñ kī uljhan nahīñ ga.ī
karvaT badal ke kaaTī thī har shab tire baġhair
aadat vo ab bhī chhoḌ ke madfan nahīñ ga.ī
saarī ḳhudā.ī vaise lagī to rahī magar
is dil se terī yaad bhī dushman nahīñ ga.ī
ik but ke 'ishq meñ tū kare hai ḳhudā-ḳhudā
ai 'shams' terī zāt-e-barahman nahīñ ga.ī
rassi to jal gai magar ainThan nahin gai
chahat tumhaari yun dam-e-kushtan nahin gai
tum chahte nahin the hamein phir ye kyon hua
ab bhi tumhaari aankhon ki uljhan nahin gai
karwaT badal ke kaTi thi har shab tere baghair
aadat wo ab bhi chhoD ke madfan nahin gai
sari KHudai waise lagi to rahi magar
is dil se teri yaad bhi dushman nahin gai
ek but ke 'ishq mein tu kare hai KHuda-KHuda
ai 'shams' teri zat-e-barahman nahin gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.