rasta lamba ho to piyaada mat karna
rasta lambā ho to piyāda mat karnā
ghar aane meñ raat ziyāda mat karnā
varna dariyā ghus aa.egā kamre meñ
jaane kā us paar irāda mat karnā
bulb bahut kamzor hai mere kamre kā
bijlī kī miqdār ziyāda mat karnā
tum to ḳhud ko maar chuke par bachchoñ ko
'mīr' ke jaisā sīdhā-sāda mat karnā
āsmān se jaane ab ke kyā TuuTe
tārīkī meñ haath kushāda mat karnā
jaao ḳhud ko raushan-dān pe rakh aao
lekin dīvāroñ meñ jaada mat karnā
rasta lamba ho to piyaada mat karna
ghar aane mein raat ziyaada mat karna
warna dariya ghus aaega kamre mein
jaane ka us par irada mat karna
bulb bahut kamzor hai mere kamre ka
bijli ki miqdar ziyaada mat karna
tum to KHud ko mar chuke par bachchon ko
'mir' ke jaisa sidha-sada mat karna
aasman se jaane ab ke kya TuTe
tariki mein hath kushada mat karna
jao KHud ko raushan-dan pe rakh aao
lekin diwaron mein jada mat karna
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 70)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.