raste mein sham ho gai ghar jaun kya karun
raste meñ shaam ho ga.ī ghar jā.ūñ kyā karūñ
ik qarz hai safar meñ ye bhar jā.ūñ kyā karūñ
kachchā mirā makān thā bārish meñ bah gayā
sail-e-ravāñ meñ ḳhud bhī utar jā.ūñ kyā karūñ
vāpas vahīñ pe rasta mujhe le ke aa gayā
maiñ aage chal paḌūñ ki Thahar jā.ūñ kyā karūñ
dar to khule hue haiñ na mehmāñ na mezbāñ
ghabrā ke sochtī huuñ kidhar jā.ūñ kyā karūñ
qātil tujhe bachā gayā munsif kā faisla
fariyād kis se ho maiñ kidhar jā.ūñ kyā karūñ
taskīn us kī jaañ ko milegī usī tarah
raste pe ḳhaak ban ke bikhar jā.ūñ kyā karūñ
duniyā bulā rahī hai mujhe diiñ hai ik taraf
jā.ūñ maiñ is taraf ki idhar jā.ūñ kyā karūñ
us kī razā pe ḳhush huuñ rakhe jis bhī haal meñ
us kī razā pe kuchh bhī maiñ kar jā.ūñ kyā karūñ
raste mein sham ho gai ghar jaun kya karun
ek qarz hai safar mein ye bhar jaun kya karun
kachcha mera makan tha barish mein bah gaya
sail-e-rawan mein KHud bhi utar jaun kya karun
wapas wahin pe rasta mujhe le ke aa gaya
main aage chal paDun ki Thahar jaun kya karun
dar to khule hue hain na mehman na mezban
ghabra ke sochti hun kidhar jaun kya karun
qatil tujhe bacha gaya munsif ka faisla
fariyaad kis se ho main kidhar jaun kya karun
taskin us ki jaan ko milegi usi tarah
raste pe KHak ban ke bikhar jaun kya karun
duniya bula rahi hai mujhe din hai ek taraf
jaun main is taraf ki idhar jaun kya karun
us ki raza pe KHush hun rakhe jis bhi haal mein
us ki raza pe kuchh bhi main kar jaun kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.