raste pe bhi nazar hai to raste ke par bhi
raste pe bhī nazar hai to raste ke paar bhī
hālāñki ab nahīñ hai tirā intizār bhī
rāh-e-talab meñ ḳhāk-basar honā paḌtā hai
lāzim hai ab anā kā labāda utaar bhī
tanhā.ī chaaT legī sunahre badan kī dhuup
ai ḳhud-parast shaḳhs kisī ko pukār bhī
achchhe dinoñ kī baat hai jab terī bazm meñ
hotā thā dostoñ meñ hamārā shumār bhī
is 'ishq meñ ye haal to honā thā jān-e-man
ab sar pe aa paḌī hai to hañs kar guzār bhī
kuchh 'ishq bhī thā jaan kā dushman banā huā
hālāt-o-vāqi'āt the nā-sāz-gār bhī
ye kyā kiyā ki 'nāz' ko yaksar bhulā diyā
itnā nahīñ thā silsila nā-pā.edār bhī
raste pe bhi nazar hai to raste ke par bhi
haalanki ab nahin hai tera intizar bhi
rah-e-talab mein KHak-basar hona paDta hai
lazim hai ab ana ka labaada utar bhi
tanhai chaT legi sunahre badan ki dhup
ai KHud-parast shaKHs kisi ko pukar bhi
achchhe dinon ki baat hai jab teri bazm mein
hota tha doston mein hamara shumar bhi
is 'ishq mein ye haal to hona tha jaan-e-man
ab sar pe aa paDi hai to hans kar guzar bhi
kuchh 'ishq bhi tha jaan ka dushman bana hua
haalat-o-waqi'at the na-saz-gar bhi
ye kya kiya ki 'naz' ko yaksar bhula diya
itna nahin tha silsila na-paedar bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.