raunaq-e-bazm bhi hai garmi-e-bazar bhi hai
raunaq-e-bazm bhī hai garmī-e-bāzār bhī hai
dekhnā ye hai koī dil kā ḳharīdār bhī hai
is haqīqat ko kisī ahl-e-nazar se pūchho
jo hai dīvāna vahī mahram-e-asrār bhī hai
dekhnā ye hai ki dīvāna kidhar jaatā hai
dāvat-e-tūr bhī hai jalva-gah-e-dār bhī hai
Thokareñ khā ke zamāne kī ye ma.alūm huā
zindagī sirf lachak hī nahīñ talvār bhī hai
zindagī kyā hai kaheñ is ke sivā kyā 'shāriq'
ek uqda hai ki āsāñ bhī hai dushvār bhī hai
raunaq-e-bazm bhi hai garmi-e-bazar bhi hai
dekhna ye hai koi dil ka KHaridar bhi hai
is haqiqat ko kisi ahl-e-nazar se puchho
jo hai diwana wahi mahram-e-asrar bhi hai
dekhna ye hai ki diwana kidhar jata hai
dawat-e-tur bhi hai jalwa-gah-e-dar bhi hai
Thokaren kha ke zamane ki ye malum hua
zindagi sirf lachak hi nahin talwar bhi hai
zindagi kya hai kahen is ke siwa kya 'shaariq'
ek uqda hai ki aasan bhi hai dushwar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.