raunaq-e-zau-fishan se phul gire
raunaq-e-zau-fishāñ se phuul gire
yā hamāre gumāñ se phuul gire
dard ne phir se dil meñ karvaT lī
aaj phir āsmāñ se phuul gire
phir tirī yaad ne kiyā jaadū
ḳhvāb meñ kahkashāñ se phuul gire
phir tasavvur meñ vo ḳhayāl aaya
kāvish-e-rā.egāñ se phuul gire
dāman-e-dil ye bhar gayā kaise
kyā ḳhabar hai kahāñ se phuul gire
phuul hī phuul ho ga.ī duniyā
yuuñ tire jism-o-jāñ se phuul gire
phir mahakne lagī hai jān-e-ġhazal
phir hamārī zabāñ se phuul gire
maiñ kahāñ thā kahāñ nahīñ 'ajmal'
jab zamān-o-makāñ se phuul gire
raunaq-e-zau-fishan se phul gire
ya hamare guman se phul gire
dard ne phir se dil mein karwaT li
aaj phir aasman se phul gire
phir teri yaad ne kiya jadu
KHwab mein kahkashan se phul gire
phir tasawwur mein wo KHayal aaya
kawish-e-raegan se phul gire
daman-e-dil ye bhar gaya kaise
kya KHabar hai kahan se phul gire
phul hi phul ho gai duniya
yun tere jism-o-jaan se phul gire
phir mahakne lagi hai jaan-e-ghazal
phir hamari zaban se phul gire
main kahan tha kahan nahin 'ajmal'
jab zaman-o-makan se phul gire
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.