raunaq jahan ki sach hai faqat aadmi se hai
raunaq jahāñ kī sach hai faqat aadmī se hai
lekin nizām-e-dahr bhī barham usī se hai
yaksāñ mo.āmla kahāñ sab kā sabhī se hai
nafrat kisī se hai to mohabbat kisī se hai
mere har ek sher meñ hai aap kī jhalak
vābasta merī shā.erī bas aap hī se hai
martā hai koī bhuuk se us kī kise ḳhabar
sab ko ġharaz bas apnī shikam-parvarī se hai
raunaq tumhārī bazm meñ pahle kahāñ ye thī
saarī chahal-pahal mirī maujūdgī se hai
us ko nasīb chain-o-sukūñ kyā ho ai ḳhudā
bezār jis kā qalb tirī bandagī se hai
daanā kī dushmanī se to ḳhatra nahīñ koī
nādān dostoñ kī magar dostī se hai
marnā bhī chāhtā nahīñ 'tābish' koī yahāñ
shikva bhī sub.h shaam magar zindagī se hai
raunaq jahan ki sach hai faqat aadmi se hai
lekin nizam-e-dahr bhi barham usi se hai
yaksan moamla kahan sab ka sabhi se hai
nafrat kisi se hai to mohabbat kisi se hai
mere har ek sher mein hai aap ki jhalak
wabasta meri shaeri bas aap hi se hai
marta hai koi bhuk se us ki kise KHabar
sab ko gharaz bas apni shikam-parwari se hai
raunaq tumhaari bazm mein pahle kahan ye thi
sari chahal-pahal meri maujudgi se hai
us ko nasib chain-o-sukun kya ho ai KHuda
bezar jis ka qalb teri bandagi se hai
dana ki dushmani se to KHatra nahin koi
nadan doston ki magar dosti se hai
marna bhi chahta nahin 'tabish' koi yahan
shikwa bhi subh sham magar zindagi se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.