raushan charāġh ho gayā maiñ terā pā ke saath
yā to sañbhāl le yā chalā maiñ havā ke saath
mastī shabāb husn tabassum to ḳhuub haiñ
ulfat kā rang aur khulā hai vafā ke saath
is meñ nahīñ ḳhulūs to Thokar lagā.iye
dil aap ke hai qadmoñ meñ is iltijā ke saath
maiñ ne likhā thā naam tirā reg-e-dasht par
aur koī mujh ko bair nahīñ thā havā ke saath
mujh ko mire mizāj kā rahbar nahīñ milā
vāpas palaT gayā huuñ maiñ kuchh duur jā ke saath
zīna-ba-zīna dil meñ utartī rahī vo yaad
dil shab meñ chauñk uTThā ik āvāz-e-pā ke saath
mahshar kā ḳhair kuchh bhī natīja ho ai 'naved'
dīd-e-rasūl-e-pāk to hogī ḳhudā ke saath
raushan charagh ho gaya main tera pa ke sath
ya to sanbhaal le ya chala main hawa ke sath
masti shabab husn tabassum to KHub hain
ulfat ka rang aur khula hai wafa ke sath
is mein nahin KHulus to Thokar lagaiye
dil aap ke hai qadmon mein is iltija ke sath
main ne likha tha nam tera reg-e-dasht par
aur koi mujh ko bair nahin tha hawa ke sath
mujh ko mere mizaj ka rahbar nahin mila
wapas palaT gaya hun main kuchh dur ja ke sath
zina-ba-zina dil mein utarti rahi wo yaad
dil shab mein chaunk uTTha ek aawaz-e-pa ke sath
mahshar ka KHair kuchh bhi natija ho ai 'nawed'
did-e-rasul-e-pak to hogi KHuda ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.