raushan na hui thi subh abhi munh khol rahi hai sham kahin
raushan na hui thi subh abhi munh khol rahi hai sham kahin
Azhar Ghauri Nadwi
MORE BYAzhar Ghauri Nadwi
raushan na huī thī sub.h abhī muñh khol rahī hai shaam kahīñ
āġhāz na hone paayā thā aur hone lagā anjām kahīñ
is duniyā meñ kyā milnā hai bas armānoñ ke ḳhuuñ ke sivā
ai ḳhvāb-e-hasīñ tere chalte ho jaa.eñ na ham badnām kahīñ
mānind-e-sabā āvāra ham phirte hī rahe shahroñ shahroñ
ramtā jogī bahtā paanī hai sub.h kahīñ to shaam kahīñ
is vaqt to ḳhush aate haiñ nazar kuchh sāda-lauh anādil bhī
dekho to na phir phailāyā ho sayyād ne koī daam kahīñ
sayyād se gar laḌnā hai tujhe shāhīñ kā jigar paidā kar le
bulbul jaise nāzuk dil se hotā hai jarī iqdām kahīñ
kuchh ziist kā ġham kuchh millat kā maġhmūm rahe har dam 'az.har'
hassās tabī.at vāloñ ko miltā hai bhalā ārām kahīñ
raushan na hui thi subh abhi munh khol rahi hai sham kahin
aaghaz na hone paya tha aur hone laga anjam kahin
is duniya mein kya milna hai bas armanon ke KHun ke siwa
ai KHwab-e-hasin tere chalte ho jaen na hum badnam kahin
manind-e-saba aawara hum phirte hi rahe shahron shahron
ramta jogi bahta pani hai subh kahin to sham kahin
is waqt to KHush aate hain nazar kuchh sada-lauh anadil bhi
dekho to na phir phailaya ho sayyaad ne koi dam kahin
sayyaad se gar laDna hai tujhe shahin ka jigar paida kar le
bulbul jaise nazuk dil se hota hai jari iqdam kahin
kuchh zist ka gham kuchh millat ka maghmum rahe har dam 'azhar'
hassas tabiat walon ko milta hai bhala aaram kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.