raushni aane do diwar ko dar hone do
raushnī aane do dīvār ko dar hone do
sahr-e-shab TūTne do nūr-e-sahar hone do
ek patthar pe na zaa.e.a karo barsāt apnī
sadaf-e-chashm meñ ashkoñ ko guhar hone do
dil ho dariyā to tamavvuj use raas aatā hai
roz paidā mire dariyā meñ bhañvar hone do
kabhī pindār ne dī baat na banñe ab ke
guftugū us se ba-andāz-e-digar hone do
Dālne do mujhe ashiyā kī haqīqat pe nazar
niist hotā hai jo ḳhvāboñ kā nagar hone do
raushni aane do diwar ko dar hone do
sahr-e-shab TuTne do nur-e-sahar hone do
ek patthar pe na zaea karo barsat apni
sadaf-e-chashm mein ashkon ko guhar hone do
dil ho dariya to tamawwuj use ras aata hai
roz paida mere dariya mein bhanwar hone do
kabhi pindar ne di baat na banne ab ke
guftugu us se ba-andaz-e-digar hone do
Dalne do mujhe ashiya ki haqiqat pe nazar
nist hota hai jo KHwabon ka nagar hone do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.