raushni ban kar andhere mein bikhar jata hai kaun
raushni ban kar andhere mein bikhar jata hai kaun
Naseem Muzaffarpuri
MORE BYNaseem Muzaffarpuri
raushnī ban kar añdhere meñ bikhar jaatā hai kaun
rafta rafta zehn ke andar utar jaatā hai kaun
muntashir hotā to hai lekin sañvar jaatā hai kaun
reza reza ho ke bhī yaksar nikhar jaatā hai kaun
apnī apnī zid pe qaa.em haiñ abhī dil aur dimāġh
dekhnā hai vaqt kī Thokar se Dar jaatā hai kaun
jāntā huuñ merī mushkil kī davā hai tere paas
māñgne ḳhairāt lekin tere ghar jaatā hai kaun
sarhadeñ māyūsiyoñ kī baḌhtī jaatī haiñ 'nasīm'
dāman-e-ummīd itnā tang kar jaatā hai kaun
raushni ban kar andhere mein bikhar jata hai kaun
rafta rafta zehn ke andar utar jata hai kaun
muntashir hota to hai lekin sanwar jata hai kaun
reza reza ho ke bhi yaksar nikhar jata hai kaun
apni apni zid pe qaem hain abhi dil aur dimagh
dekhna hai waqt ki Thokar se Dar jata hai kaun
jaanta hun meri mushkil ki dawa hai tere pas
mangne KHairaat lekin tere ghar jata hai kaun
sarhaden mayusiyon ki baDhti jati hain 'nasim'
daman-e-ummid itna tang kar jata hai kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.