raushni ban ke sitaron mein rawan rahte hain
Interesting Fact
Nakhlistan, Multan-1962
raushnī ban ke sitāroñ meñ ravāñ rahte haiñ
jism-e-aflāk meñ ham sūrat-e-jāñ rahte haiñ
haiñ dil-e-dahr meñ ham sūrat-e-ummīd-e-nihāñ
misl-e-īmāñ ruḳh-e-hastī pe ayaañ rahte haiñ
jo na DhūñDo to hamārā koī maskan hī nahīñ
aur dekho to qarīb-e-rag-e-jāñ rahte haiñ
har-nafas karte haiñ ik-tarfa tamāshā paidā
ham sar-e-dār bhī taz.īñ jahāñ rahte haiñ
aur bhī ahl-e-nazar haiñ kabhī dekho to sahī
ham bhī is shahr meñ ai kam-nazrāñ rahte haiñ
dil kī dhaḌkan se milā un kā pata kuchh ham ko
kis ko mā'lūm thā varna vo kahāñ rahte haiñ
vus.at-e-dasht nahīñ raas chaman-zādoñ ko
ham tire shahr kī jānib nigarāñ rahte haiñ
ashk girte haiñ to kuchh dil ko sakūñ miltā hai
haa.e vo log jo mahrūm-e-fuġhāñ rahte haiñ
zindagī-bhar kā hai ahbāb se is dasht meñ saath
misl-e-jāñ rahte haiñ ham 'arsh' jahāñ rahte haiñ
raushni ban ke sitaron mein rawan rahte hain
jism-e-aflak mein hum surat-e-jaan rahte hain
hain dil-e-dahr mein hum surat-e-ummid-e-nihan
misl-e-iman ruKH-e-hasti pe ayan rahte hain
jo na DhunDo to hamara koi maskan hi nahin
aur dekho to qarib-e-rag-e-jaan rahte hain
har-nafas karte hain ik-tarfa tamasha paida
hum sar-e-dar bhi tazin jahan rahte hain
aur bhi ahl-e-nazar hain kabhi dekho to sahi
hum bhi is shahr mein ai kam-nazran rahte hain
dil ki dhaDkan se mila un ka pata kuchh hum ko
kis ko ma'lum tha warna wo kahan rahte hain
wusat-e-dasht nahin ras chaman-zadon ko
hum tere shahr ki jaanib nigaran rahte hain
ashk girte hain to kuchh dil ko sakun milta hai
hae wo log jo mahrum-e-fughan rahte hain
zindagi-bhar ka hai ahbab se is dasht mein sath
misl-e-jaan rahte hain hum 'arsh' jahan rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.