raushni dil mein nazar aai hai
raushnī dil meñ nazar aa.ī hai
phir koī choT ubhar aa.ī hai
ban ke tahrīr-e-sabā dars-e-junūñ
varaq-e-gul pe utar aa.ī hai
aa.ina dekhne vaale tujh ko
kis kī tasvīr nazar aa.ī hai
dil ke zaḳhmoñ kā ye aalam jaise
kahkashāñ dil meñ utar aa.ī hai
shukriya dasht kī vīrānī kā
mujh se milne mire ghar aa.ī hai
aaj ḳhush yuuñ bhī huuñ 'nashtar' ki sabā
ek muddat meñ idhar aa.ī hai
raushni dil mein nazar aai hai
phir koi choT ubhar aai hai
ban ke tahrir-e-saba dars-e-junun
waraq-e-gul pe utar aai hai
aaina dekhne wale tujh ko
kis ki taswir nazar aai hai
dil ke zaKHmon ka ye aalam jaise
kahkashan dil mein utar aai hai
shukriya dasht ki virani ka
mujh se milne mere ghar aai hai
aaj KHush yun bhi hun 'nashtar' ki saba
ek muddat mein idhar aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.