raushni gum hone ke asbab hain
raushnī gum hone ke asbāb haiñ
tīrgī ke har taraf sailāb haiñ
zer-e-dariyā gauhar-e-nāyāb haiñ
ham ḳhas-o-ḳhāshāk-e-sat.h-e-āb haiñ
tairne vaale yahāñ ġharqāb haiñ
terī āñkheñ bhī ajab tālāb haiñ
jis kī qismat meñ rahā tanhā safar
āḳhir-e-shab ham vahī mahtāb haiñ
muḳhtalif to haiñ magar dānishvaro
ham junūñ vāloñ ke bhī ādāb haiñ
bād-e-shab jin kī qadam-bosī kare
vo charāġh-e-mo'atabar nāyāb haiñ
pāniyoñ kā qaht hai imsāl bhī
jism ke dariyā sabhī pāyāb haiñ
ḳhushk mausam kī havā.eñ kyā huiiñ
saare jangal sabz haiñ shādāb haiñ
mauj-andar-mauj tūfāñ dard ke
yam-ba-yam iflās ke girdāb haiñ
tā.iro utro mirī vaadī meñ bhī
dasht haiñ kohsār haiñ tālāb haiñ
raah meñ āñkheñ bichhāte haiñ jo 'shād'
vo muhibbī haiñ mire ahbāb haiñ
raushni gum hone ke asbab hain
tirgi ke har taraf sailab hain
zer-e-dariya gauhar-e-nayab hain
hum KHas-o-KHashak-e-sath-e-ab hain
tairne wale yahan gharqab hain
teri aankhen bhi ajab talab hain
jis ki qismat mein raha tanha safar
aaKHir-e-shab hum wahi mahtab hain
muKHtalif to hain magar danishwaro
hum junun walon ke bhi aadab hain
baad-e-shab jin ki qadam-bosi kare
wo charagh-e-mo'atabar nayab hain
paniyon ka qaht hai imsal bhi
jism ke dariya sabhi payab hain
KHushk mausam ki hawaen kya huin
sare jangal sabz hain shadab hain
mauj-andar-mauj tufan dard ke
yam-ba-yam iflas ke girdab hain
tairo utro meri wadi mein bhi
dasht hain kohsar hain talab hain
rah mein aankhen bichhate hain jo 'shad'
wo muhibbi hain mere ahbab hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.