raushni ka istiara aur tu
raushnī kā isti'āra aur tū
saath hai ik chāñd taarā aur tū
raat kitnī der tak baiThe rahe
maiñ samundar kā kinārā aur tū
aañkh kī putlī meñ kab se qaid hai
ek dilkash sā nazāra aur tū
tū hī batlā de kise pahle paḌhūñ
paas hai taaza shumāra aur tū
hai 'ajab sī bebasī kā sāmnā
duur hai mujh se sahārā aur tū
kis qadar 'ambar' hasīñ ehsās hai
vaqt bhī merā hai saarā aur tū
raushni ka isti'ara aur tu
sath hai ek chand tara aur tu
raat kitni der tak baiThe rahe
main samundar ka kinara aur tu
aankh ki putli mein kab se qaid hai
ek dilkash sa nazara aur tu
tu hi batla de kise pahle paDhun
pas hai taza shumara aur tu
hai 'ajab si bebasi ka samna
dur hai mujh se sahaara aur tu
kis qadar 'ambar' hasin ehsas hai
waqt bhi mera hai sara aur tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.