raushni ka parda hai darmiyan tere mere aur pyar jari hai
raushni ka parda hai darmiyan tere mere aur pyar jari hai
Javed Akhtar Bedi
MORE BYJaved Akhtar Bedi
raushnī kā parda hai darmiyāñ tire mere aur pyaar jaarī hai
pyaar meñ mohabbat meñ ham na ḳhud ko badleñge aisī apnī yaarī hai
haath meñ jo āñkheñ haiñ in pe hī faqat takiya kis qadar hai nā-kāfī
kuchh madad bhī lī jaa.e dūsroñ se auroñ se ye bhī hoshiyārī hai
Dhañg hai samā.at kā rañg hai basārat kā be-tarah-o-be-ma.anī
nañg ke liye dauḌeñ ham bhī saarī duniyā meñ ek jañg jaarī hai
surḳh lafz haiñ mere maiñ bhī sher kahtā huuñ aur jab sunātā huuñ
koī bol uThtā hai sher sher meñ tere ek ġham-gusārī hai
sar barahna shāḳhoñ par ek din vo aatā hai aur gulāb khilte haiñ
tajraba hai ye apnā ham ne bhī yahāñ āḳhir zindagī guzārī hai
aañkh vaale sāvan meñ ek baat dekhī hai aur kah bhī duuñ tum se
tishnagī miTātā hai dil kī tishnagī kā ye qudratī shikārī hai
bujh rahī haiñ kyoñ āñkheñ saath māh-o-anjum ke kaun sā ye sūraj hai
zindagī na chhin jaa.e aarzī sī to 'bedī' zindagī hamārī hai
raushni ka parda hai darmiyan tere mere aur pyar jari hai
pyar mein mohabbat mein hum na KHud ko badlenge aisi apni yari hai
hath mein jo aankhen hain in pe hi faqat takiya kis qadar hai na-kafi
kuchh madad bhi li jae dusron se auron se ye bhi hoshiyari hai
Dhang hai samaat ka rang hai basarat ka be-tarah-o-be-mani
nang ke liye dauDen hum bhi sari duniya mein ek jang jari hai
surKH lafz hain mere main bhi sher kahta hun aur jab sunata hun
koi bol uThta hai sher sher mein tere ek gham-gusari hai
sar barahna shaKHon par ek din wo aata hai aur gulab khilte hain
tajraba hai ye apna hum ne bhi yahan aaKHir zindagi guzari hai
aankh wale sawan mein ek baat dekhi hai aur kah bhi dun tum se
tishnagi miTata hai dil ki tishnagi ka ye qudrati shikari hai
bujh rahi hain kyon aankhen sath mah-o-anjum ke kaun sa ye suraj hai
zindagi na chhin jae aarzi si to 'bedi' zindagi hamari hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 282)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.