raushni ka sabab ishq hai
raushnī kā sabab ishq hai
naġhmagī kā sabab ishq hai
ḳhāk-e-nāpāk kī ḳhalq par
bartarī kā sabab ishq hai
ruuh meñ khilte jazbāt kī
tāzgī kā sabab ishq hai
mujh se be-bāk insān kī
bebasī kā sabab ishq hai
mujh faqīr-e-kam-āmez kī
sarvarī kā sabab ishq hai
sar-kashī kā sabab hai havas
bandagī kā sabab ishq hai
bā.is-e-ishq hai zindagī
zindagī kā sabab ishq hai
ai 'sahar' maan bhī le tirī
shā.irī kā sabab ishq hai
raushni ka sabab ishq hai
naghmagi ka sabab ishq hai
KHak-e-napak ki KHalq par
bartari ka sabab ishq hai
ruh mein khilte jazbaat ki
tazgi ka sabab ishq hai
mujh se be-bak insan ki
bebasi ka sabab ishq hai
mujh faqir-e-kam-amez ki
sarwari ka sabab ishq hai
sar-kashi ka sabab hai hawas
bandagi ka sabab ishq hai
bais-e-ishq hai zindagi
zindagi ka sabab ishq hai
ai 'sahar' man bhi le teri
shairi ka sabab ishq hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.