raushni kab thi mere dagh-e-jigar se pahle
raushnī kab thī mire dāġh-e-jigar se pahle
us ne paa.ī hai ziyā shams-o-qamar se pahle
ashk ab tak mirī āñkhoñ se na barse pahle
hoñT shabnam ke bhī ik buuñd ko tarse pahle
jis kī tanvīr meñ pinhāñ thiiñ hazāroñ zulmāt
ik sahar aisī bhī dekhī hai sahar se pahle
merī ḳhuddār tabī.at kā taqāzā thā yahī
āshiyāñ phūñk diyā barq-o-sharar se pahle
phir zamāne kī nazar merī taraf kyoñ uTThī
bach ke chalnā thā mujhe un kī nazar se pahle
vus.at-e-kaun-o-makāñ ġharq huī hai jis meñ
aise tūfāñ bhī uThe dīda-e-tar se pahle
ḳhuld kahte haiñ jise hai vo isī kā ḳhāka
ilm thā kab ye tirī rāhguzar se pahle
chiir kar zulmat-e-shab vaqt ke teshe se 'nishāt'
ik na.ī sub.h ubhāreñge sahar se pahle
raushni kab thi mere dagh-e-jigar se pahle
us ne pai hai ziya shams-o-qamar se pahle
ashk ab tak meri aankhon se na barse pahle
honT shabnam ke bhi ek bund ko tarse pahle
jis ki tanwir mein pinhan thin hazaron zulmat
ek sahar aisi bhi dekhi hai sahar se pahle
meri KHuddar tabiat ka taqaza tha yahi
aashiyan phunk diya barq-o-sharar se pahle
phir zamane ki nazar meri taraf kyon uTThi
bach ke chalna tha mujhe un ki nazar se pahle
wusat-e-kaun-o-makan gharq hui hai jis mein
aise tufan bhi uThe dida-e-tar se pahle
KHuld kahte hain jise hai wo isi ka KHaka
ilm tha kab ye teri rahguzar se pahle
chir kar zulmat-e-shab waqt ke teshe se 'nishat'
ek nai subh ubhaarenge sahar se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.