raushni ke saz-o-saman DhunDhta phirta tha main
raushnī ke sāz-o-sāmāñ DhūñDhtā phirtā thā maiñ
un dinoñ ik chāñd kī ta.amīr meñ uljhā thā maiñ
āḳhirī manzar hī shab kā haath lag paayā mire
kal tirī mahfil meñ thoḌā der se pahuñchā thā maiñ
us purāne ghar kī vo dīvār ab ke gir ga.ī
haañ vahī dīvār jis par ab talak likkhā thā maiñ
us kī bāhoñ se nikal aayā bhī thā merā badan
aur us ke siine meñ ab tak kahīñ lipTā thā maiñ
umr-bhar kī mushkileñ hañs kar ke maiñ ne paar kī
ik ḳhushī mujh ko milī thī bas tabhī royā thā maiñ
vo mire TuuTe hue kirchoñ ko kab tak joḌtā
thoḌā thoḌā kar ke saare ghar meñ hī bikhrā thā maiñ
pūchhiye mat kyā sukūn-e-mustaqil thā qabr meñ
muddatoñ ke baa'd aisī niiñd meñ soyā thā maiñ
raushni ke saz-o-saman DhunDhta phirta tha main
un dinon ek chand ki tamir mein uljha tha main
aaKHiri manzar hi shab ka hath lag paya mere
kal teri mahfil mein thoDa der se pahuncha tha main
us purane ghar ki wo diwar ab ke gir gai
han wahi diwar jis par ab talak likkha tha main
us ki bahon se nikal aaya bhi tha mera badan
aur us ke sine mein ab tak kahin lipTa tha main
umr-bhar ki mushkilen hans kar ke main ne par ki
ek KHushi mujh ko mili thi bas tabhi roya tha main
wo mere TuTe hue kirchon ko kab tak joDta
thoDa thoDa kar ke sare ghar mein hi bikhra tha main
puchhiye mat kya sukun-e-mustaqil tha qabr mein
muddaton ke ba'd aisi nind mein soya tha main
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 57)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.