raushni KHatm karo kaam hua chahta hai
raushnī ḳhatm karo kaam huā chāhtā hai
dushman-e-dil bhī bas ab raam huā chāhtā hai
log pahchān ke karte haiñ kināra-gīrī
aap kahte haiñ miyāñ naam huā chāhtā hai
tīrgī raat kī baḌhtī hī chalī jaatī hai
aur mirā jism subuk-gām huā chāhtā hai
kīsa-e-zar bhī kisī kaam na aayā tere
puḳhta īmān thā jo ḳhaam huā chāhtā hai
qatl-e-nāhaq ko oḌhānā koī diinī jaama
shahr-e-bedād meñ ab 'aam huā chāhtā hai
ġhaur se dekh tire jhūTe ḳhudā kā chehra
surḳhī-e-ḳhūñ se siyah-fām huā chāhtā hai
hijrateñ 'aam karo habs kā daur aayā hai
qaul-e-insāf bhī dushnām huā chāhtā hai
raushni KHatm karo kaam hua chahta hai
dushman-e-dil bhi bas ab ram hua chahta hai
log pahchan ke karte hain kinara-giri
aap kahte hain miyan nam hua chahta hai
tirgi raat ki baDhti hi chali jati hai
aur mera jism subuk-gam hua chahta hai
kisa-e-zar bhi kisi kaam na aaya tere
puKHta iman tha jo KHam hua chahta hai
qatl-e-nahaq ko oDhana koi dini jama
shahr-e-bedad mein ab 'am hua chahta hai
ghaur se dekh tere jhuTe KHuda ka chehra
surKHi-e-KHun se siyah-fam hua chahta hai
hijraten 'am karo habs ka daur aaya hai
qaul-e-insaf bhi dushnam hua chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.