raushni KHwabon ki aankhon mein basae rakhna
raushnī ḳhvāboñ kī āñkhoñ meñ basā.e rakhnā
raat gahrī hai bahut sham.a jalā.e rakhnā
apnī shīsha-laqbī kā hai tahaffuz lāzim
ḳhud ko patthar zada lahjoñ se bachā.e rakhnā
tū ye kyā jaane ki is daur-e-jafā-pesha meñ
kitnā mushkil hai ta.alluq ko banā.e rakhnā
jaan se pyārī rahī hai hameñ apnī dastār
ham ne sīkhā hī nahīñ sar ko jhukā.e rakhnā
sonā tap tap ke banā kartā hai kundan yaaro
apne bachchoñ ko na siine se lagā.e rakhnā
dosto jañg bhī lāzim hai harīfoñ se magar
parcham-e-amn bhī hāthoñ meñ uThā.e rakhnā
tīrgī-zāde tujhe chain na lene deñge
ishq kī sham.a magar dil meñ jalā.e rakhnā
vo ġhazal chehra ki hai jān-e-gulistān-e-ḳhayāl
us ko ash.ār ke phūloñ se sajā.e rakhnā
mere ajdād kī 'shībān' yahī hai ta.alīm
ho jahāñ dhuup kī shiddat vahāñ saa.e rakhnā
raushni KHwabon ki aankhon mein basae rakhna
raat gahri hai bahut shama jalae rakhna
apni shisha-laqbi ka hai tahaffuz lazim
KHud ko patthar zada lahjon se bachae rakhna
tu ye kya jaane ki is daur-e-jafa-pesha mein
kitna mushkil hai talluq ko banae rakhna
jaan se pyari rahi hai hamein apni dastar
hum ne sikha hi nahin sar ko jhukae rakhna
sona tap tap ke bana karta hai kundan yaro
apne bachchon ko na sine se lagae rakhna
dosto jang bhi lazim hai harifon se magar
parcham-e-amn bhi hathon mein uThae rakhna
tirgi-zade tujhe chain na lene denge
ishq ki shama magar dil mein jalae rakhna
wo ghazal chehra ki hai jaan-e-gulistan-e-KHayal
us ko ashaar ke phulon se sajae rakhna
mere ajdad ki 'shiban' yahi hai talim
ho jahan dhup ki shiddat wahan sae rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.