raushni ki dhaar ne TukDe kiye hain
raushnī kī dhaar ne TukḌe kiye haiñ
ham baḌī mushkil se pahchāne ga.e haiñ
zindagī ke sāf-suthre rāstoñ par
jaane kyā dekhā ki andhe ho ga.e haiñ
fāsloñ ko is qadar piinā paḌā hai
jāgte shahroñ meñ nange phir rahe haiñ
bārhā sochā ki ḳhud ko dekh Dāleñ
bārhā bas soch kar hī hañs paḌe haiñ
ik na ik din ḳhud bikhar jā.eñge 'sayyad'
log āḳhir kyoñ pareshāñ ho rahe haiñ
raushni ki dhaar ne TukDe kiye hain
hum baDi mushkil se pahchane gae hain
zindagi ke saf-suthre raston par
jaane kya dekha ki andhe ho gae hain
faslon ko is qadar pina paDa hai
jagte shahron mein nange phir rahe hain
barha socha ki KHud ko dekh Dalen
barha bas soch kar hi hans paDe hain
ek na ek din KHud bikhar jaenge 'sayyad'
log aaKHir kyon pareshan ho rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.