raushnī le ke tīrgī DhūñDī
tujh ko pā kar tirī kamī DhūñDī
un hasīnoñ se pher kar āñkheñ
tū ne kyuuñ mujh sī sar-phirī DhūñDī
ḳhvāb jannat ke dekhne vaale
tū ne kyuuñ laḌkī dozaḳhī DhūñDī
jis ko maz.hab se kuchh nahīñ lenā
biivī us ne bhī maz.habī DhūñDī
miir sāhab ne ishq farmāyā
aur newton ne gravity DhūñDī
ishq hai naukrī nahīñ hai miyāñ
ek chhūTī to dūsrī DhūñDī
raushni le ke tirgi DhunDi
tujh ko pa kar teri kami DhunDi
un hasinon se pher kar aankhen
tu ne kyun mujh si sar-phiri DhunDi
KHwab jannat ke dekhne wale
tu ne kyun laDki dozaKHi DhunDi
jis ko mazhab se kuchh nahin lena
biwi us ne bhi mazhabi DhunDi
mir sahab ne ishq farmaya
aur newton ne grawity DhunDi
ishq hai naukri nahin hai miyan
ek chhuTi to dusri DhunDi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.