raushni mein jugnu laya ja raha hai
raushnī meñ jugnū laayā jā rahā hai
aa.ine ko kyā dikhāyā jā rahā hai
ye dhuāñ sā kyā uThāyā jā rahā hai
aag ko kyoñ āzmāyā jā rahā hai
kaun hai jo de ke dastak chhup gayā hai
kyoñ mujhe yūñhī satāyā jā rahā hai
bastī ke ye log kitne nā-samajh haiñ
hiir ko rāñjhā batāyā jā rahā hai
haath lagtā hī nahīñ thā vo kabhī so
haath us se ab chhuḌāyā jā rahā hai
kyā sunā achchhā huuñ maiñ maiñ aur achchhā
jhuuT tum sab ko sunāyā jā rahā hai
tā ki ye ḳhud maar paa.eñ is liye bhī
mujh ko dushman se bachāyā jā rahā hai
jab maiñ rūThā hī nahīñ huuñ tujh se to phir
mujh ko yūñhī kyoñ manāyā jā rahā hai
shā.erī meñ thī taḳhayyul kī kamī so
yaar ko jabran gañvāyā jā rahā hai
vaqt aisā aa.egā sochā nahīñ thā
haath se khānā khilāyā jā rahā hai
sochtā huuñ is meñ apnā aks Dālūñ
ret pe jo dil banāyā jā rahā hai
jo bachā kar rakkhā thā ḳhud se abhī tak
vo ḳhazāna ab luTāyā jā rahā hai
pahle us ke saath koī bhī nahīñ thā
āj-kal 'ayyāb' paayā jā rahā hai
raushni mein jugnu laya ja raha hai
aaine ko kya dikhaya ja raha hai
ye dhuan sa kya uThaya ja raha hai
aag ko kyon aazmaya ja raha hai
kaun hai jo de ke dastak chhup gaya hai
kyon mujhe yunhi sataya ja raha hai
basti ke ye log kitne na-samajh hain
hir ko ranjha bataya ja raha hai
hath lagta hi nahin tha wo kabhi so
hath us se ab chhuDaya ja raha hai
kya suna achchha hun main main aur achchha
jhuT tum sab ko sunaya ja raha hai
ta ki ye KHud mar paen is liye bhi
mujh ko dushman se bachaya ja raha hai
jab main ruTha hi nahin hun tujh se to phir
mujh ko yunhi kyon manaya ja raha hai
shaeri mein thi taKHayyul ki kami so
yar ko jabran ganwaya ja raha hai
waqt aisa aaega socha nahin tha
hath se khana khilaya ja raha hai
sochta hun is mein apna aks Dalun
ret pe jo dil banaya ja raha hai
jo bacha kar rakkha tha KHud se abhi tak
wo KHazana ab luTaya ja raha hai
pahle us ke sath koi bhi nahin tha
aaj-kal 'ayyab' paya ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.