raushni rang mein milai hai
raushnī rang meñ milā.ī hai
terī tasvīr yuuñ banā.ī hai
zaḳhm khilne lage kalī kī tarah
ye sunā jab bahār aa.ī hai
aap kī har adā meñ poshīda
ek andāz-e-dil-rubā.ī hai
jab mile aap kī ḳhamoshī ne
ik na.ī dāstāñ sunā.ī hai
aur koī samajh nahīñ saktā
tum meñ jo baat ham ne paa.ī hai
har ghaḌī mere paas rahte ho
ye judā.ī bhī kyā judā.ī hai
ham bhī un ko bhulā ke dekheñge
aaj ye jī meñ kyā samā.ī hai
raushni rang mein milai hai
teri taswir yun banai hai
zaKHm khilne lage kali ki tarah
ye suna jab bahaar aai hai
aap ki har ada mein poshida
ek andaz-e-dil-rubai hai
jab mile aap ki KHamoshi ne
ek nai dastan sunai hai
aur koi samajh nahin sakta
tum mein jo baat hum ne pai hai
har ghaDi mere pas rahte ho
ye judai bhi kya judai hai
hum bhi un ko bhula ke dekhenge
aaj ye ji mein kya samai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.