raushni subh ki ya shab ki siyahi denge
raushnī sub.h kī yā shab kī siyāhī deñge
jo bhī denā hai tumheñ zill-e-ilāhī deñge
shaiḳh sāhab to azal se haiñ dushman mere
khā ke qur.āñ kī qasam jhūTī gavāhī deñge
un se rakhiye na kisī mehr-o-vafā kī ummīd
ye to aise haiñ ki sūraj ko siyāhī deñge
mausam-e-lutf-e-atā hai abhī maiḳhāne meñ
jaam kyā chiiz hai ye tum ko surāhī deñge
to hiqārat kī nazar se na unheñ dekh miyāñ
ye phaTe kapḌe tujhe ḳhil.at-e-shāhī deñge
aisā lagtā hai havāoñ ke ye pāgal jhoñke
ret par likkhī 'ibārat ko miTā hī deñge
itnī māyūsī bhī achchhī nahīñ khoTe sikko
ik na ik din tumheñ ham log chalā hī deñge
karke ye faisla ham ghar se chale haiñ 'qaisar'
kuchh kharī khoTī tumheñ aaj sunā hī deñge
raushni subh ki ya shab ki siyahi denge
jo bhi dena hai tumhein zill-e-ilahi denge
shaiKH sahab to azal se hain dushman mere
kha ke quran ki qasam jhuTi gawahi denge
un se rakhiye na kisi mehr-o-wafa ki ummid
ye to aise hain ki suraj ko siyahi denge
mausam-e-lutf-e-ata hai abhi maiKHane mein
jam kya chiz hai ye tum ko surahi denge
to hiqarat ki nazar se na unhen dekh miyan
ye phaTe kapDe tujhe KHilat-e-shahi denge
aisa lagta hai hawaon ke ye pagal jhonke
ret par likkhi 'ibarat ko miTa hi denge
itni mayusi bhi achchhi nahin khoTe sikko
ek na ek din tumhein hum log chala hi denge
karke ye faisla hum ghar se chale hain 'qaisar'
kuchh khari khoTi tumhein aaj suna hi denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.