raushni tez hui koi sitara TuTa
raushnī tez huī koī sitārā TuuTā
dhaar meñ ab ke nadī kā hī kinārā TuuTā
thartharāte hue lab chup to lagā baiThe par
chup ne hī joḌā bhī iz.hār hamārā TuuTā
dar-ba-dar phirtā koī ḳhvāb mirā āvāra
raat āñkhoñ meñ chalā aayā thā haarā TuuTā
jaane kis moḌ pe bichhḌī vo sadā maazī kī
ek tinke kā sahārā thā sahārā TuuTā
dhuup chaḌhte hī pilātā thā jo sahrā paanī
dhuup Dhalte hī tilismī vo nazārā TuuTā
fikr o ma.ānī ke chune sher usī malbe se
ham ne tanhā.ī kā dekhā jo idāra TuuTā
raushni tez hui koi sitara TuTa
dhaar mein ab ke nadi ka hi kinara TuTa
thartharaate hue lab chup to laga baiThe par
chup ne hi joDa bhi izhaar hamara TuTa
dar-ba-dar phirta koi KHwab mera aawara
raat aankhon mein chala aaya tha haara TuTa
jaane kis moD pe bichhDi wo sada mazi ki
ek tinke ka sahaara tha sahaara TuTa
dhup chaDhte hi pilata tha jo sahra pani
dhup Dhalte hi tilismi wo nazara TuTa
fikr o maani ke chune sher usi malbe se
hum ne tanhai ka dekha jo idara TuTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.