rawan-dawan nai tahzib ka safar rakkho
ravāñ-davāñ na.ī tahzīb kā safar rakkho
magar nigāh ko manzil se bā-ḳhabar rakkho
sadāqatoñ kī hifāzat kā hausla ho agar
to apne hāthoñ se neze pe apnā sar rakkho
tumhārī nasl kī parvāz meñ ḳhalal na paḌe
mat un ke sāmne apne shikasta par rakkho
na ġham karo jo kaḌī dhuup kā safar hai hayāt
jilau meñ apne koī sāya-e-shajar rakkho
sahar ke bhūle sar-e-shām lauT ā.eñge
laveñ baḌhā ke charāġhoñ kī baam par rakkho
jo sach likhogī to phir kuchh na likh sakogī 'nasīm'
qalam meñ ma.anī badalne kā bhī hunar rakkho
rawan-dawan nai tahzib ka safar rakkho
magar nigah ko manzil se ba-KHabar rakkho
sadaqaton ki hifazat ka hausla ho agar
to apne hathon se neze pe apna sar rakkho
tumhaari nasl ki parwaz mein KHalal na paDe
mat un ke samne apne shikasta par rakkho
na gham karo jo kaDi dhup ka safar hai hayat
jilau mein apne koi saya-e-shajar rakkho
sahar ke bhule sar-e-sham lauT aaenge
lawen baDha ke charaghon ki baam par rakkho
jo sach likhogi to phir kuchh na likh sakogi 'nasim'
qalam mein mani badalne ka bhi hunar rakkho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.