rawan hai mujh mein abhi tak wo intiqam ki sham
rawan hai mujh mein abhi tak wo intiqam ki sham
Khwaja tariq Usmani
MORE BYKhwaja tariq Usmani
ravāñ hai mujh meñ abhī tak vo intiqām kī shaam
tire baġhair guzārī jo tere naam kī shaam
Thahar ga.ī hai yuuñ mujh meñ tire ḳhirām kī shaam
ki jaise gard-e-safar mahv ho qiyām kī shaam
sitāra-zād ne jis shab jabīñ ko chūmā thā
tavīl guzrī thī us shab ke intizām kī shaam
ye maslahat kā taqāza hai yā junūñ merā
guzār dī hai safar meñ jo thī qiyām kī shaam
jise zamāna-e-tauhīd sub.h kahtā hai
vo asal meñ hai mire āḳhirī imaam kī shaam
haqīqī sajdoñ kī qīmat batā ga.ī ham ko
vo zer-e-teġh namāzoñ ke ehtimām kī shaam
vo kaise raat meñ hamrāh ho gayā 'tāriq'
vo ek ḳhvāb milā thā jo mujh se shaam kī shaam
rawan hai mujh mein abhi tak wo intiqam ki sham
tere baghair guzari jo tere nam ki sham
Thahar gai hai yun mujh mein tere KHiram ki sham
ki jaise gard-e-safar mahw ho qiyam ki sham
sitara-zad ne jis shab jabin ko chuma tha
tawil guzri thi us shab ke intizam ki sham
ye maslahat ka taqaza hai ya junun mera
guzar di hai safar mein jo thi qiyam ki sham
jise zamana-e-tauhid subh kahta hai
wo asal mein hai mere aaKHiri imam ki sham
haqiqi sajdon ki qimat bata gai hum ko
wo zer-e-tegh namazon ke ehtimam ki sham
wo kaise raat mein hamrah ho gaya 'tariq'
wo ek KHwab mila tha jo mujh se sham ki sham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.