rawan hua hai mere aah ka dhuan sar par
rawan hua hai mere aah ka dhuan sar par
Raja Girdhari Parsad Baqi
MORE BYRaja Girdhari Parsad Baqi
ravāñ huā hai mire aah kā dhuāñ sar par
nahīñ hai abr nahīñ hai ye āsmāñ sar par
ravā nahīñ hai tirī sham.a sī misāl ai dost
dahan meñ tere zabāñ us kī hai zabāñ sar par
rulāyā hijr ne ik bahr-e-husn ke aisā
ki apne ashk kā dariyā huā ravāñ sar par
rahegā ālam-e-asbāb kā yahīñ asbāb
koī uThā ke na le jā.egā makāñ sar par
ḳhayāl-e-abrū-e-qātil kiyā jo furqat meñ
pahuñch ga.ī vahīñ shamshīr-e-isfahāñ sar par
chaman meñ ġhuncha-o-gul hāth-pāoñ kyā phailā.eñ
har ek vaqt khaḌī rahtī hai ḳhizāñ sar par
riyā-e-dalq se bezār haiñ jo haiñ āzād
amāma bhī mujhe ek bojh hai girāñ sar par
razā de mujh ko ki baiThūñ chaman meñ dekhūñ bahār
khaḌī huī hai are bāġhbāñ ḳhizāñ sar par
rihā mujhe na karegā to dekh ai sayyād
maiñ shor kar ke uThā lūñgā āsmāñ sar par
ruke nahīñ to bhalā aaj kyoñ ye be-ma.amūl
salām ko na rakhā haath mehrbāñ sar par
rakho na ḳhauf ko ḳhurshīd-e-hashr ke 'bāqī'
rahegā haidar-e-karrār kā nishāñ sar par
rawan hua hai mere aah ka dhuan sar par
nahin hai abr nahin hai ye aasman sar par
rawa nahin hai teri shama si misal ai dost
dahan mein tere zaban us ki hai zaban sar par
rulaya hijr ne ek bahr-e-husn ke aisa
ki apne ashk ka dariya hua rawan sar par
rahega aalam-e-asbab ka yahin asbab
koi uTha ke na le jaega makan sar par
KHayal-e-abru-e-qatil kiya jo furqat mein
pahunch gai wahin shamshir-e-isfahan sar par
chaman mein ghuncha-o-gul hath-paon kya phailaen
har ek waqt khaDi rahti hai KHizan sar par
riya-e-dalq se bezar hain jo hain aazad
amama bhi mujhe ek bojh hai giran sar par
raza de mujh ko ki baiThun chaman mein dekhun bahaar
khaDi hui hai are baghban KHizan sar par
riha mujhe na karega to dekh ai sayyaad
main shor kar ke uTha lunga aasman sar par
ruke nahin to bhala aaj kyon ye be-mamul
salam ko na rakha hath mehrban sar par
rakho na KHauf ko KHurshid-e-hashr ke 'baqi'
rahega haidar-e-karrar ka nishan sar par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.