rawana wo bhi hua hai nae safar ke liye
ravāna vo bhī huā hai na.e safar ke liye
talāsh karnī hai roTī mujhe bhī ghar ke liye
dikhā.ī detā hai sūraj bhī kuchh pareshāñ sā
udaas maiñ hī nahīñ huuñ kisī shajar ke liye
safar pe jā.ūñ maiñ asbāb aur kyā le kar
ki terī yaad hī kaafī hai rahguzar ke liye
bichhaḌte vaqt udāsī kā rañg thā jin par
nazar ne bose bahut aise bām-o-dar ke liye
ġhubār kab hai khulā hai rafāqatoñ kā gulāb
huā nahīñ hai koī ḳhat hai be-ḳhabar ke liye
madīna chhoḌā to kuufa huā nasīb hameñ
ki hijrateñ hī milīñ ham ko umr-bhar ke liye
sipāh-e-shām hameñ āftāb kahtī hai
bulandiyāñ haiñ sināñ kī hamāre sar ke liye
rawana wo bhi hua hai nae safar ke liye
talash karni hai roTi mujhe bhi ghar ke liye
dikhai deta hai suraj bhi kuchh pareshan sa
udas main hi nahin hun kisi shajar ke liye
safar pe jaun main asbab aur kya le kar
ki teri yaad hi kafi hai rahguzar ke liye
bichhaDte waqt udasi ka rang tha jin par
nazar ne bose bahut aise baam-o-dar ke liye
ghubar kab hai khula hai rafaqaton ka gulab
hua nahin hai koi KHat hai be-KHabar ke liye
madina chhoDa to kufa hua nasib hamein
ki hijraten hi milin hum ko umr-bhar ke liye
sipah-e-sham hamein aaftab kahti hai
bulandiyan hain sinan ki hamare sar ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.