rawani hun rawani ko Thahar jaana nahin aata
ravānī huuñ ravānī ko Thahar jaanā nahīñ aatā
sarāpā zindagī huuñ mujh ko mar jaanā nahīñ aatā
do-ālam ko abad tak apnī ḳhushbū se basā.ūñgā
mujhe Tahnī pa murjhā kar bikhar jaanā nahīñ aatā
har afsurda kalī ko gudgudā.ūñgā hañsā.ūñgā
mujhe misl-e-sabā san se guzar jaanā nahīñ aatā
maiñ girdāboñ meñ ghūmūñgā maiñ tūfānoñ se khelūñgā
lab-e-dariyā mujhe Dar Dar ke mar jaanā nahīñ aatā
nahīñ jaatā ġham-e-ulfat nahīñ jaatā nahīñ jaatā
ise aanā to aatā hai magar jaanā nahīñ aatā
rawani hun rawani ko Thahar jaana nahin aata
sarapa zindagi hun mujh ko mar jaana nahin aata
do-alam ko abad tak apni KHushbu se basaunga
mujhe Tahni pa murjha kar bikhar jaana nahin aata
har afsurda kali ko gudgudaunga hansaunga
mujhe misl-e-saba san se guzar jaana nahin aata
main girdabon mein ghumunga main tufanon se khelunga
lab-e-dariya mujhe Dar Dar ke mar jaana nahin aata
nahin jata gham-e-ulfat nahin jata nahin jata
ise aana to aata hai magar jaana nahin aata
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 271)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.