regzar aankhon mein be-KHwabi ke hain
regzār āñkhoñ meñ be-ḳhvābī ke haiñ
din yahī bastī kī ġharqābī ke haiñ
vādiyoñ se phuul ruḳhsat ho ga.e
phir vahī ayyām be-tābī ke haiñ
jam rahī haiñ tan pe kaa.ī kī taheñ
ḳhvāb āñkhoñ meñ guhar-yābī ke haiñ
vādiyāñ ab barf se Dhak jā.eñgī
shab to shab din bhī girāñ-ḳhvābī ke haiñ
bujh ga.iiñ āñkheñ zamīñ kī dhund se
hausle dil meñ falak-tābī ke haiñ
kyoñ havā.eñ aag barsātī nahīñ
duur tak āsār shādābī ke haiñ
regzar aankhon mein be-KHwabi ke hain
din yahi basti ki gharqabi ke hain
wadiyon se phul ruKHsat ho gae
phir wahi ayyam be-tabi ke hain
jam rahi hain tan pe kai ki tahen
KHwab aankhon mein guhar-yabi ke hain
wadiyan ab barf se Dhak jaengi
shab to shab din bhi giran-KHwabi ke hain
bujh gain aankhen zamin ki dhund se
hausle dil mein falak-tabi ke hain
kyon hawaen aag barsati nahin
dur tak aasar shadabi ke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.