ret ke shanon pe shabnam ki nami raat gae
ret ke shānoñ pe shabnam kī namī raat ga.e
aur kuchh tez huī tishna-labī raat ga.e
baam o dar jaag uThe shauq ne āñkheñ kholīñ
dil kī dahlīz pe dastak sī huī raat ga.e
mere siine meñ kisī aag kā jalnā din bhar
us ke hoñToñ pe vo halkī sī hañsī raat ga.e
ik isī ḳhvāb ne kyā kyā na tamāshā dekhā
niiñd ke haath meñ jaadū kī chhaḌī raat ga.e
fat.h paa.ī hai sarāboñ pe mire ashkoñ ne
ġham ne bāñdhī hai ka.ī baar nadī raat ga.e
ret ke shanon pe shabnam ki nami raat gae
aur kuchh tez hui tishna-labi raat gae
baam o dar jag uThe shauq ne aankhen kholin
dil ki dahliz pe dastak si hui raat gae
mere sine mein kisi aag ka jalna din bhar
us ke honTon pe wo halki si hansi raat gae
ek isi KHwab ne kya kya na tamasha dekha
nind ke hath mein jadu ki chhaDi raat gae
fath pai hai sarabon pe mere ashkon ne
gham ne bandhi hai kai bar nadi raat gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.