ret par koi pani likh raha hai
ret par koī paanī likh rahā hai
mire ghar kī kahānī likh rahā hai
chāñd ko dekh kar samundar bhī
shā'irī āsmānī likh rahā hai
ye chaman apnī ḳhāksārī meñ
os par rāt-rānī likh rahā hai
dhūeñ kī syāhī se vo ek diyā
‘arz-e-ġham be-zabānī likh rahā hai
noch kar ke vo par parindoñ ke
mustaqbil uḌānī likh rahā hai
haath bhejā hai ḳhat raqīboñ ke
baat par shādmānī likh rahā hai
ret par koi pani likh raha hai
mere ghar ki kahani likh raha hai
chand ko dekh kar samundar bhi
sha'iri aasmani likh raha hai
ye chaman apni KHaksari mein
os par raat-rani likh raha hai
dhuen ki syahi se wo ek diya
‘arz-e-gham be-zabani likh raha hai
noch kar ke wo par parindon ke
mustaqbil uDani likh raha hai
hath bheja hai KHat raqibon ke
baat par shadmani likh raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.