rewDon ki qataron mein gum ho gae din ke raste to aankhen khuli rah gain
rewDon ki qataron mein gum ho gae din ke raste to aankhen khuli rah gain
Anwar Jamal
MORE BYAnwar Jamal
revḌoñ kī qatāroñ meñ gum ho ga.e din ke raste to āñkheñ khulī rah ga.iiñ
lauT ke ghar na aa.e sadhā.e hue jab parinde to āñkheñ khulī rah ga.iiñ
maiñ ne biivī ko chhiḌkā to ḳhud merā ḳhuuñ muttahid ho ke mere muqābil huā
apnī maañ kī taraf ek dam ho ga.e mere bachche to āñkheñ khulī rah ga.iiñ
jo talāsh-e-saf-e-dushmanāñ kī muhim meñ mire saath phirte rahe shaam tak
shab ko dekhe jo maiñ ne vahī ghaat meñ chand chehre to āñkheñ khulī rah ga.iiñ
parbatoñ ghāTiyoñ kā safar dā.era thā ki ik vāhima thā ye khultā nahīñ
jis jagah ham mile the usī moḌ par aa ke bichhḌe to āñkheñ khulī rah ga.iiñ
dopahar kā amal munjamid sā.ateñ āsmāñ paañv meñ thā zamīñ sar pe thī
ab ke pahle se 'anvar' zarā muḳhtalif ḳhvāb dekhe to āñkheñ khulī rah ga.iiñ
rewDon ki qataron mein gum ho gae din ke raste to aankhen khuli rah gain
lauT ke ghar na aae sadhae hue jab parinde to aankhen khuli rah gain
main ne biwi ko chhiDka to KHud mera KHun muttahid ho ke mere muqabil hua
apni man ki taraf ek dam ho gae mere bachche to aankhen khuli rah gain
jo talash-e-saf-e-dushmanan ki muhim mein mere sath phirte rahe sham tak
shab ko dekhe jo main ne wahi ghat mein chand chehre to aankhen khuli rah gain
parbaton ghaTiyon ka safar daera tha ki ek wahima tha ye khulta nahin
jis jagah hum mile the usi moD par aa ke bichhDe to aankhen khuli rah gain
dopahar ka amal munjamid saaten aasman panw mein tha zamin sar pe thi
ab ke pahle se 'anwar' zara muKHtalif KHwab dekhe to aankhen khuli rah gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.