reza-reza hua jawan patthar
reza-reza huā javāñ patthar
kah rahā hai ye dāstāñ patthar
khil uThe phuul us ke siine meñ
ban gayā ek gulsitāñ patthar
barf-bārī se zindagī hai vabāl
ro ke kahtā hai be-zabāñ patthar
kar diyā pāsh-pāsh teshe ne
kitnā bebas hai nā-tavāñ patthar
yuuñ hai taarī sukūt hastī par
jaise ho nazm-e-kul-jahāñ patthar
Thokaroñ se hai lāla-zār qadam
rāste meñ hai sargirāñ patthar
zīnat-e-rāh hai usī se ayaañ
jis ko kahte haiñ rā.egāñ patthar
mil ke maujoñ ke saath ai 'qudsī'
ban gayā aaj be-karāñ patthar
reza-reza hua jawan patthar
kah raha hai ye dastan patthar
khil uThe phul us ke sine mein
ban gaya ek gulsitan patthar
barf-bari se zindagi hai wabaal
ro ke kahta hai be-zaban patthar
kar diya pash-pash teshe ne
kitna bebas hai na-tawan patthar
yun hai tari sukut hasti par
jaise ho nazm-e-kul-jahan patthar
Thokaron se hai lala-zar qadam
raste mein hai sargiran patthar
zinat-e-rah hai usi se ayan
jis ko kahte hain raegan patthar
mil ke maujon ke sath ai 'qudsi'
ban gaya aaj be-karan patthar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.