reza reza sa bhala mujh mein bikharta kya he
reza reza sā bhalā mujh meñ bikhartā kyā he
ab tirā ġham bhī nahīñ hai to ye qissa kyā hai
kyuuñ sajā letā hai palkoñ pe ye ashkoñ ke charāġh
ai havā kuchh to batā phuul se rishta kyā he
us ne māñgā hai duāoñ meñ ḳhudā se mujh ko
aur maiñ chup huuñ bhalā us ne bhī māñgā kyā hai
sher-goī se kahīñ mas.ale hal hote haiñ
jānte ham bhī haiñ in bātoñ meñ rakkhā kyā hai
vaqt jismoñ ko kamānoñ meñ badal detā he
koī samjhā do use ḳhud ko samajhtā kyā hai
ḳhud samajh jāoge hāthoñ kī lakīreñ 'fārūq'
us kī āñkhoñ meñ paḌho ġhaur se likkhā kyā hai
reza reza sa bhala mujh mein bikharta kya he
ab tera gham bhi nahin hai to ye qissa kya hai
kyun saja leta hai palkon pe ye ashkon ke charagh
ai hawa kuchh to bata phul se rishta kya he
us ne manga hai duaon mein KHuda se mujh ko
aur main chup hun bhala us ne bhi manga kya hai
sher-goi se kahin masale hal hote hain
jaante hum bhi hain in baaton mein rakkha kya hai
waqt jismon ko kamanon mein badal deta he
koi samjha do use KHud ko samajhta kya hai
KHud samajh jaoge hathon ki lakiren 'faruq'
us ki aankhon mein paDho ghaur se likkha kya hai
- Book : Udas Lamhon Ke Mausam (Poetry) (Pg. 82)
- Author : Farooq Bakhshi
- Publication : Modern Publishing House (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.