reze reze zamin ke khangale gae
reze reze zamīñ ke khañgāle ga.e
kyoñ na dil tak sabhī ke ujāle ga.e
ek jannat se nikle zamīñ ke hue
phir tire dil se ham kyoñ nikāle ga.e
tum se ummīd bhī rā.egāñ ho ga.ī
ḳhvāb mere na tum se sañbhāle ga.e
sach kī hurmat taqaddus hai a.alā magar
bol kar sach yahāñ to nivāle ga.e
ham ko bhā na sakīñ aqd kī beḌiyāñ
ham na masjid ga.e na shivāle ga.e
reze reze zamin ke khangale gae
kyon na dil tak sabhi ke ujale gae
ek jannat se nikle zamin ke hue
phir tere dil se hum kyon nikale gae
tum se ummid bhi raegan ho gai
KHwab mere na tum se sanbhaale gae
sach ki hurmat taqaddus hai aala magar
bol kar sach yahan to niwale gae
hum ko bha na sakin aqd ki beDiyan
hum na masjid gae na shiwale gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.