rida-e-shab ko bhala kis tarah siya jae
ridā-e-shab ko bhalā kis tarah siyā jaa.e
tumhārī yaad na aa.e to kyā kiyā jaa.e
sharāb piine se kyā fā.eda agar yaaro
ise gunāh samajh kar nahīñ piyā jaa.e
zamāna pūchh rahā hai ki kyā huā tum ko
javāb soch rahā huuñ ki kyā diyā jaa.e
nahīñ hai koī bhī chāra sivā.e jiine ke
nahīñ hai koī bhī chāra to bas jiyā jaa.e
samajh meñ kuchh nahīñ aatā ki chhoḌ deñ kis ko
samajh meñ kuchh nahīñ aatā kise liyā jaa.e
rida-e-shab ko bhala kis tarah siya jae
tumhaari yaad na aae to kya kiya jae
sharab pine se kya faeda agar yaro
ise gunah samajh kar nahin piya jae
zamana puchh raha hai ki kya hua tum ko
jawab soch raha hun ki kya diya jae
nahin hai koi bhi chaara siwae jine ke
nahin hai koi bhi chaara to bas jiya jae
samajh mein kuchh nahin aata ki chhoD den kis ko
samajh mein kuchh nahin aata kise liya jae
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 100)
- Author : Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.